Mere Tohfe

By Khan Hifza sajid


Baab 1)Falsafa : b)Anpadh

Padhi hai kitaab bahut,

Aankhein padhna phir bhi aaya nahi.


Daastan thi mazedaar bahut

Aankhon ki dastaan mein shayad woh maza nahi.


Bane talba har ilm ka

Aankhein padhne ki maharat unhe bhai nahi


Ilm wale hai bahut,

Insaani nafsiyat ,

Padhne logon ko aye nahi.


Hai padh likh kar bhi,

Ye anpadh.

Insaan ko jab,

Insaan ki aziyat ,

Padhne aye nahi.


-Hifza

Comments 💬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!