Fiza

By Iram Khan

Description:

Mohabbat kya hai?

Ek lafz?
Ek izhaar?
Ek naghma?
Ek zimmedari?
Ya phir ek imtehaan?

Mere liye..Mohabbat, meri Fiza hai.


Mohabbat kya hai?

Mohabbat kya hai?


Ek lafz?

Ek izhaar?

Ek naghma?

Ek zimmedari?

Ya phir ek imtehaan?


Kya mohabbat us majboot dhaal ka naam hai jo har toofan mein saath khadi rehti hai?

Kya mohabbat kisi ki zindagi bachane, uske toot-te wajood ko sambhalne ka jazba hai?

Kya mohabbat kisi ki izzat ki hifazat ka gawah hone ko kehte hain?

Ya phir mohabbat sirf kitaabon ke safhon mein likhi hui ek khoobsurat kahani hoti hai?

Kya mohabbat mein galtiyan nahi hotin?

Kya har thokar ke baad maafi mil jaati hai?


Aise beshumaar sawal hote hai dil mein..

Har sawal apne saath ek naya dard, ek nayi umeed, aur ek naya imtehaan laata hai.


Mere liye..Mohabbat, meri Fiza hai.

Comments 💬

Login to post comments

No comments yet. Be the first to comment!

Next →