DesiBuks.com
---Ad---Zindagi
By Khan Hifza sajid
Numo
Numo
Ye ajeeb si hai daastan,
Kabhi dil hai shaq mein mubtila .
Kabhi kuch jaane ki khwahish ,
Toh naye ehsasaat samjhne ka tajassus.
Tum ubhar rahe ho,
Bus tumhe pata nahi hai.
Tum bukhar rahe ho,
Bus ehsaas naya hai.
Duniya ko naye nazron se hai dekhna,
Logon ke lehje ko hai samjhna.
Jo bachpane mein sab acha lagta tha,
Shayad unke shakhsiyat ko hai ab padhna.
Jab koi tajassus ho,
Toh sawaal puchna.
Kuch galat Lage tum awaaz uthana,
Bus log kya kahenge,
Iss behkawe na aana.
Marhale honge aise ki qalb bhi ghabrayega,
Par yeh dimaag tumhe raste dikhayega.
Apni mantak ki hai sunna,
Khuda penyaqeen tum rakhna.
Iss duniya ki chamak mein,
Khud ke rangon ko tum na bhulna.
Koi galti huyi,
Use fauran Maan Lena,
Aur apni zindagi mein use tum ek naya darwaza samjhna.
Mayus na hona,
Apne begane lagenge,
Begane apne,
Tum gumrah na hona.
Bus yaad rakhna
Tum ubhar rahe ho,
Har maine mein.
Tum sawar rahe ho,
Dunyavi aitbar se.
Par tum khud ke liye sawarna.
Aur yuh nikhar na,
Ki tumhare nikhar se,
Iss duniya ko hai chamakna.
Hifza
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!