DesiBuks.com
---Ad---Zindagi
By Khan Hifza sajid
Ibtida
Ibtida
Woh rone ki awaaz,
Jispe musqurai maa bhi,
Ankhein nam hui baba ki bhi.
Khushiyon mein dooba har fard.
Woh lamha,
Jo ibtida bane agaaz-e-zindagi ka.
Woh pehli khilkariyan,
Woh nanhe, rui se komal haath,
Woh gol gulabi gaal,
Woh meechein pyari ankhein
Woh saarein pyare lamhe,
Jo yaad nahi tumhe,
Par har woh lamhein,
Jo tumhare walidain ne jiye.
Agaaz e zindagi mein tum,
Masoom thein bahut,
Maa ke anchal ke tale,
Har gham se tum bachein,
Baba ke bazuyon mein tum sara jahan ghumein.
Abhi toh yeh ibtida hai,
Zindagi ye safar lamba hai.
Tum abhi toh sirf pehle seedhi par chadein.
Ye seedhiyan asaan hai,
Mehlon ke raja ki zindagi,
Abhi toh tumhe jeeni hai,
Har ek lamhe ki zindagi.
Abhi toh yuh bahaar hai
Khizan se tum abhi kaha ho ghuzre.
Tum laakh murjhaye patte girana,
Bus khud ki kaliyon ko yuh bhool na jana.
Hifza
Comments π¬
Login to post comments
No comments yet. Be the first to comment!